Har sehar teri khushi
Har shab teri wafa chahta hoon
Mat pooch ki main ab kya chahta hoon
Bebasi aisi bhi kya ki khamosh hai tu
Hosh mein hai, phir bhi kyun behosh hai tu
Aankhon mein teri phir se wo nasha chahta hoon
Mat pooch ki main ab kya chahta hoon
Udasi teri, dil mein khanjar si lagti hai
Maayusi tere chehre pe bohot chubhti hai
Hothon pe tere, guncha-e-gul sa gumaan chahta hoon
Mat pooch ki main ab kya chahta hoon
Jamaal-e-husn par ye roothna jachta bahut hai
Par in dino tu mere iraadon ko parakhta bahut hai
Kar aetbar, main teri rooh mein panaah chahta hoon
Mat pooch ki main ab kya chahta hoon….
Parul J
hey great words ... like the style of writing
ReplyDeleteThanks Nilesh.
ReplyDelete